TERE BAARE ME JAB SOCHA NAHI THA

Tere baare meiN jab socha nahin thaa,
maiN tanha tha magar itna nahin thaa.

Teri tasveer se karta thaa baateN,
mere kamer meiN aayina nahiN thaa.

Samandar ne muJhe pyaasa hi rakha,
maiN jab sahra meiN thaa pyaasa nahiN thaa.

Manaane ruThne ke khel meiN hum,
bichaD jaayenge ye socha nahiN thaa.

Suna hai band kar li aaNkheN usne,
kai raatoN se wo soya nahiN thaa.


**********


Filmi Tarka Group......... -

http://www.filmytarka.com/forum.php